Saturday, October 17, 2009

KHWAAB NAGAR

RAB E JALEEL ghafoor ur raheem hai
usnay yeh jahan takhleeq hi muhabbat kay liya kiya hai
warna agar sirf ibaadat hi maqsood hoti tou uskay liyay farishtay hamsay hazaar gunaa zyadah ibaadat guzaar hain
Aur yeh MUhabbat is ka har roop anokha hai
Har rang munfarid
Or yeh muhabbat kayi rangon main dhalti hai
Yeh Muhabbat chaahat say hoti hui pyar main dhal kar ishq ki shakal ikhtyaar karti hai and phir yehi ishq junoon ko choota hua deewangi main daakhil hota hai
Or yeh muhabbat ... isay kitna bayaan karen
Dar haqeeqat Muhabbat ki taareef yeh hai kay yeh Muhabbat hai
Khwaab nagar meri aesi hi kahaanion ka hi majmoo_aa hai jo kay mehektay khoobsurat khwab se saja hai
AAYEN HAIQIQATON KI SAFAAKION OR SANGEENION SAY KUCH PAL KO US KHWAAB NAGAR MAIN CHALTAY HAIN JAHAN MUHABBAT KA BASERA HAI
REGARDS,
Ramis Tanveer Ahmed

No comments:

Post a Comment